Yeh dhuaaN kam ho to pahchaan ho mumkin, shaayad
yooN to woh jaltaa huaa apnaa hi ghar lagtaa hai...
- Ejaaz Aazar
Tum takalluf ko bhi iKhlaas samajhte ho, 'Faraz'
dost hotaa naheeN har haath milaane waalaa...
Vo harr baar mujh se nazrein chura leta hai, 'Faraz'
Maine kagaz par bhi bana kar dekhi hain aankhen uski..
Saliqa ho agar bhigi huii aankhon ko padhne ka, 'Faraz'
To bahte hue aansoo bhi akasar baat karte hain...
Yadoon ki jaaden fooT hi padati hain kahin se, 'Faraz'
Dil agar sookh bhi jaye, to banjar nahi hota...
Mere hi hathon pe likhi hai taqdiir meri, 'Faraz'
Aur meri hi taqdiir pe mera bas nahi chalta...
Sau baar marna chaha nigahon mein doob kar
Vo nigahen jhuka leti hai, haamein marne nahin deti...
Bahut ajeeb hai bandishein mohabbat ki, 'Faraz'
Na usne kaid mein rakha na hum farar hue...
Badi mushkil se kal raat maine sulaya khud ko
In aankhon ko tere khwaab ka laalach de kar...
- Ahmed Faraz
Insaan ki khwahishon ki koi intaha nahi
Do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad
- Kaifi Aazami
Kin lavzon men itni kadvi, itni kasaili baat likhoon
sher ki main tahazeeb nibhaoon ya apane halaat likhoon
- Javed Akhtar
Tum unke vaade ka zikr unse kyon karo, 'Ghalib'
Ye kya ki tum kaho, aur vo kahein yaad nahin...
Ragoon mein daudte firrne ke hum nahin qaayal
Jab aankh se hi na tapka to fir lahoo kya hai...
Ghalib na kar huzoor mein tu bar bar arzz
Zahir hai tera haal sab un par kaahe bagair...
Mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
Tu dekh ke kya rang tera mere aage....
Ishrat e qatra hai darya mei fana ho jana,
Dard ka hadh se guzarna hai dawa ho jana
- Mirza Ghalib
Ibadat bhi khuda hai, bagavat bhi khuda hai
Khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai...
Ishq par zor nahin, hai yeh woh aatish ghalib
Jo lagaaye na lage, bujhaye na bane...
Muhabbat mein nahi hai farq jeene aur marane kaa
Usi ko dekh kar jeete hai jis kaafir pe dam nikale ...
Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai….
Umar-e-Daraaz maang kar laaye the char din,
Do aarzoo mein kat gaye, Do intezaar mein.
Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par,
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi...
Chaand nikla tha magar woh raat na-thi pehli si
yeh mulaaqaat, mulaaqaat na thi pehli si...
ranjh kuchh kum to hua aaj terey milne se;
yeh alag baat ke woh baat na thi pehli si...
Takdir banane wale ne to koi kami na chhodi thi,
Ab kisko kya mila ye to mukkaddar ki baat hai..
Aap farmate hai ki hum zindagi se takalluf rakhte hai
hum zindagi se nahi zindagi humse takalluf rakhti hai
5 comments:
Waah waah. Mashallah bahut khooob.
Shukriya janab ;)
Community Service for someone alike.
आप फरमाते है की हम ज़िन्दगी से तकल्लुफ रखते है,हम ज़िन्दगी से नहीं ज़िन्दगी हमसे तकल्लुफ रखती है - Pallavi Ali Khan
यह धुंआ कम हो तो पहचान हो मुमकिन, शायद यूं तो वोह जलता हुआ अपना ही घर लगता है ... - Ejaaz Aazar
तुम तकल्लुफ को भी इखलास समझते हो, 'Faraz',दोस्त होता नहीं हर हाथ मिलाने वाला ...
वो हर्र बार मुझ से नज़रें चुरा लेता है, 'Faraz' मैंने कागज़ पर भी बना कर देखि हैं आँखें उसकी ..
सलीका हो अगर भीगी हुई आँखों को पढने का , 'Faraz', तो बहते हुए आंसू भी अकसर बात करते हैं
मेरे ही हाथों पे लिखी है तकदीर मेरी , 'Faraz' और मेरी ही तकदीर पे मेरा बस नहीं चलता ...
सौ बार मरना चाह निगाहों में डूब कर वो निगाहें झुका लेती है , हामें मरने नहीं देती ...
बहुत अजीब है बंदिशें मोहब्बत की , 'Faraz' न उसने कैद में रखा न हम फरार हुए
तुम उनके वाडे का ज़िक्र उनसे क्यों करो , 'Ghalib', ये क्या की तुम कहो , और वो कहें याद नहीं ...
रागून में दौड़ते फिर्रने के हम नहीं कायल जब आँख से ही न टपका तो फिर लहू क्या है ...
Thanks Rajesh for the Hindi version....
What amazing lines...
Post a Comment